|
* Har bezaban ko shola nawa kah liya karo, *
Har bezaban ko shola nawa kah liya karo,
Yaro sukut hi ko sada kah liya karo,
Khud ko fareb do ki na ho talkh zindagi,
Har sangdil ko jane e wafa kah liya karo,
Gar chahte ho khush rahe'n kuchh bandagan e khas,
Jitne sanam hai'n un ko khuda kah liya karo,
Insan ka agar qad o qamat na barh sake,
Tum is ko nuqs e aab o hawa kah liya karo,
Apne liye ab ek hi raah e nijat hai,
Har zulm ko raza e khuda kah liya karo,
Le de ke ab yahi hai nishan e ziya "qateel",
Jab dil jale to us ko diya kah liya karo. |
|