donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Garmi e hasarat e nakam se jal jate hai'n, *
Garmi e hasarat e nakam se jal jate hai'n, 
ham charagho'n ki tarah sham se jal jate hai'n, 
Bach nikalte hai'n agar aatish e sayyad se ham, 
shola e aatish e gulafam se jal jate hai'n, 
Khud numai to nahi shewa e arbab e wafa, 
jin ko jalna ho wo araam se jal jate hai'n, 
Shama jis aag may jalati hai numaish ke liye, 
ham usi aag may gumnaam se jal jate hai'n, 
Jab bhi aata hai mera naam tere naam ke sath ,
jane kyu'n log mere naam se jal jate hai'n, 
Raabta baham pe hamay kya na kahenge dushman, 
aashna jab tere paigham se jal jata hai. 
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 336