|
* Duniya ne ham pe jab koi ilzaam rakh diya, *
Duniya ne ham pe jab koi ilzaam rakh diya,
Ham ne muqabil us ke tera naam rakh diya,
Ik khas had pe aa gai jab teri berukhi,
Naam us ka ham ne gardish e ayyam rakh diya,
Mai'n larhkharha raha hu'n tujhe dekh dekh kar,
Tune to mere samne ik jaam rakh diya,
Kitna sitam zarif hai wo sahib e jamal,
Us ne diya jala ke lab e baam rakh diya,
Insaan aur dekhe baghair us ko maan le,
Ik khauf ka bashar ne khuda naam rakh diya,
Ab jis ke jii may aaye wahi paaye raushani,
Ham ne to dil jala ke sar e aam rakh diya,
Kya maslahat shanas tha wo aadmi `Qateel`,
Majaburiyo'n ka jis ne wafa naam rakh diya. |
|