|
* Angarhai par angarhai leti hai raat judai ki, *
Angarhai par angarhai leti hai raat judai ki,
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki,
Kaun siyahi ghol raha tha waqt ke bahte dariya may,
mai'n ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki,
Wasl ki raat na jane kyu'n israr tha unko jane par,
waqt se pahle dub gae taro'n ne barhi danai ki,
Urhte urhte aas ka panchi dur ufaq may duub gaya,
rote rote baith gai aawaz kisi saudai ki. |
|