|
* Yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango, *
Yaro kisi qatil se kabhi pyar na mango,
Apne hi gale ke liye talvar na mango,
Gir jaoge tum apne masiha ki nazar se,
Mar kar bhi ilaj-e-dil-e-bimar na mango,
Khul jayega is tarah nigaho'n ka bharam bhi,
Kanto se kabhi phul ki mahkar na mango,
Sach baat pe milta hai sada zahar ka pyala,
Jina hai to phir jine ke izhar na mango,
Us chiz ka kya zikr jo mumkin hi nahi hai,
Sehra mai'n kabhi saya-e-divar na mango. |
|