donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qateel Shifai
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haalaat ke qadmoN pe qalandar nahiiN girtaa *
Haalaat ke qadmoN pe qalandar nahiiN girtaa
TuuTay bhii jo taara, to zamiiN par nahiiN girtaa

girte haiN samandar meN baDe shauq se daryaa
lekin kisii daryaa  meN samandar nahiiN girtaa

samjho vahaan phaldaar shajar koii nahiiN hai
voh sahan ki jismeN koii patthar nahiiN girtaa
[shajar=tree]

hairaaN hai kaii roz se Thahraa huaa paani
talaab meN ab kyuuN koii kankar nahii girtaa

is banda-e-khuddaar pe NabiyoN ka hai saaya
jo bhuuk meN bhii luqma-e-tar par nahiiN girtaa
[nabi=prophets, God's messengers]

qaaem hai Qateel ab ye mere sar ke sutuuN par
bhuuNchaal bhii aaye to meraa ghar nahiiN girtaa
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 338