donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aage kuchh us ke zikr-e-dil-e-zar mat karo *

aage kuchh us ke zikr-e-dil-e-zar mat karo

sab Khairiyat hai us se kuchh izhaar mat karo

jaane do jo nasib mei.n hona tha so hua

yaro Khuda ke waste takrar mat karo

aaina le ke pahle tanik saj to dekh lo

milne ka ghair ke abhi inkar mat karo

sar chaDh raha hai kal yu.nhi aashiqo.n ke ya.n

paTTi se tum ye baal numudar mat karo

ai aah-o-nala chhup ke mai.n aaya hu.n is jagah

aalam ko shor kar ke Khabar-dar mat karo

apni bisat mei.n to yahi jins-e-dil hai ya.n

go ab pasand is ko Kharidar mat karo

pyare kamar kaha.n hai tumhaare yu.nhi ba zan

sun kar kisi se jhuT par israr mat karo

'qayem' wo tab kahe tha shab ahwal-e-Khalq dekh

mujh sa to haq kisi ko trahdar mat karo

۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 183