abas hai.n naseha hum se za-khud-rafto.n ki tadbire.n
ruke hai bahr kab go mauj se ho.n lakh zanjire.n
hamari aah se aage to patthar aab hote the
pa kya jaane wo ab kidhar gai.n nale ki taseere.n
ye ek surat hai gar khi.nche wo mere yar ka naqsha
mai.n kab mano.n hu.n yu.n mani likhe gar lakh taswire.n
lagai aag pani mei.n ye kis ke aks ne pyare
ki ham-digar chali hai.n mauj se dariya mei.n shamshire.n
suna hi mai.n na gosh-e-lutf se ahwal ko mere
chhupi thi.n warna khamoshi mei.n apni lakh taqrire.n
rakhe hai hosh agar tu qasr kar tul-e-imarat ka
ki is buniyaad par kab tak karega tu ye tamire.n
gareba.n ki to 'qayem' muddato.n dhajjiye.n uDai hai.n
pa khaatir jama us din howe jab sine ko hum chire.n
*********************