chhoD mawa-e-zaqa.n zulf-e-paresha.n mei.n phansa
misl-e-yusuf mai.n nikal chah se zinda.n mei.n phansa
sail-e-ashk aaj ruki aankh se girte hi magar
phir kai lakht-e-jigar dida-e-girya.n mei.n phansa
kuchh bhi waqfa ho to gulshan se le aae.n sayyaad
rah gaya hai dil-e-gham-kash gul o raiha.n mei.n phansa
khinch daman rakhe.n hum yar ko kis tarah ki hath
ek to dil pe hai aur ek gareban mei.n phansa
ai ki chahe hai tu diwan ko 'qayem' ke to dekh
kahi.n hoga kisi khummar ki dukkan mei.n phansa
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸