dard-e-dil kuchh kaha nahi.n jata
aah chup bhi raha nahi.n jata
ru-ba-ru mere ghair se tu mile
ye sitam to saha nahi.n jata
shiddat-e-girya se mai.n khuu.n mei.n kab
sar se pa tak naha nahi.n jata
har dam aane se mai.n bhi hu.n nadim
kya karu.n par raha nahi.n jata
mana-e-girya kis ki khuu,n hai ki aaj
aansuo.n se baha nahi.n jata
garche 'qayem' asir-e-dam hu.n lek
mujh se ye chahchaha nahi.n jata
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸