donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf *

dekha kabhu na us dil-e-nashad ki taraf

karta raha tu apni hi bedad ki taraf

jis gul ne sun ke nala-e-bulbul uDa diya

rakhta hai gosh kab meri fariyaad ki taraf

mund ai par-e-shikasta na chaak-e-qafas ki hum

Tuk ya.n ko dekh lete hai.n sayyaad ki taraf

kahte hai.n girya khana-e-dil kar chuka kharab

aata hai chashm ab teri buniyaad ki taraf

lijo khabar mere bhi dil-e-zar ki nasim

jawe agar tu us sitam-abaad ki taraf

'qayem' tu is ghazal ko yu.nhi sarsari hi kah

hona paDega hazrat-e-ustad ki taraf


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 149