din raat kis ki yaad thi kaisa malaal tha
sadqe me.n kuchh to bol tu kya tujh pe haal tha
chhuuTa tira mariiz agar mar gaya ki shokh
jo dam tha zindagi ka so us par vabaal tha
naakhuun tire ki meh.ndi se tanha nahi.n hai.n daagh
chande shafaq se na.al-dar-aatish hilaal tha
is soch se khuli hai haqiqat ki ek umr
makkhi ki farj o shaikh ki daadhi ka baal tha
ko chashm-e-fahm taaki nazar aaye ye ki yaa.n
dekha jo kuchh so khvaab jo samjha khayal tha
jhagda mira kiya hi na tii.n saaf varna shokh
zarra zabaa.n pe tegh ki ye infisaal tha
'qayem' mai.n rekhta ko diya khil.at-e-qubuul
varna ye pesh-e-ahl-e-hunar kya kamaal tha
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸