ek Dhab pe kabhu wo but-e-khud-kaam na paya
dekha mei.n jo kuchh subh use sham na paya
apni hi hawas ke ye sab uljhaw hai.n warna
is rah mei.n hum ne to kahi.n dam na paya
wo nakhl-e-khiza.n-dida hu.n us dasht mei.n jis ke
saye mei.n kisi pahunche ne bisram na paya
wo be-sar-o-tan hai ye zamana ki ba-in-ghaur
jis ka mai.n kuchh aaghaz aur anjam na paya
fahrist mei.n khuban-e-wafadar ki pyare
dekhi to kahi.n us mei.n tera nam na paya
mamul tha dushnam ewaz apni dua ka
so wo bhi kai din se mai.n inam na paya
yak shab wo kahi.n god mei.n soya tha so 'qayem'
phir baalish-e-makhmal se mai.n aaram na paya
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸