donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* aaj ji mei.n hai ki khul kar mai-parasti kijiye *

aaj ji mei.n hai ki khul kar mai-parasti kijiye

Khoob si mai pijie aur der masti kijiye

zohd-e-Khushk aakhir kaha.n tak maya-e-tar-damani

gharq lae mai bhi chande rakhtae-hasti kijiye

tang tar hai dast-e-hajat se dil abna-e-dahr

kis ke aage zahir apni tang-dasti kijiye

darpae-virani-e-dil hai jo basta hai yaha.n

kis tarah ya-rab is ujaD ghar ko basti kijiye

lab pe fawware ke jari hai ye misra dam-ba-dam

de agar Khaliq bulandi mail-e-pasti kijiye

muft tak dun hu.n mai.n dil tis par koi leta nahi.n

ha.n magar is se bhi kuchh ye jins sasti kijiye

Tuk gareba.n aaj phaT kar dhajjiye.n ho le to phir

chaak par sine ke 'qayem' pesh-dasti kijiye


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸

 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 142