is mu.nh se kalam kuchh na nikla
juz yar ke nam kuchh na nikla
kya tujh pe karu.n nisar ghar to
DhunDa mai.n tamam kuchh na nikla
sukha Tala jo hum ko saqi
kya ek do sah jam kuchh na nikla
hum sun ke phanse the aab-o-dana
so yan tah-e-dam kuchh na nikla
kya huega tujh se ai dam-e-sard
jab aah se kaam kuchh na nikla
bande hai.n tumhei.n hazar mujh se
go ek ghulam kuchh na nikla
soche tha mai.n qafiye ko 'qayem'
juz nam-e-imam kuchh na nikla
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸