kar imtiha.n Tuk ho ke tu khu.nkhar yak taraf
mai.n aaj yak taraf hu.n tere yar yak taraf
insaf hai ki ghair se sohbat rakhe tu garm
baiTha rahu.n mai.n misl-e-gunahgar yak taraf
sikhe ho kis se sach kaho pyare ye chaal-Dhaal
tum yak taraf chalo ho to talwar yak taraf
naz o karishma ishwa-o-andaz aur ada
main yak taraf hu.n itne sitamgar yak taraf
kis baat par teri mai.n karu.n e'tibar hae
iqrar yak taraf hai to inkar yak taraf
dekhe.n pirowe kaun bhala silk-e-lakht-e-dil
mai.n ek taraf hu.n abr-e-guhar-bar yak taraf
'qayem' har ek kuche mei.n hai turfa-taziya
yusuf tere ki garmi-e-bazar yak taraf
dallal ek samt ko mu.nh se male.n hai.n khak
sar piTte phire.n hai.n kharidar yak taraf
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸