khat ke aate hi wo mukhDe ki safai kya hui
wo manush kidhar gae wo mirzai kya hui
hum na kahte the ki pyare jaan ahl-e-dil ki qadr
ab wo dil kidhar gae wo dilrubai kya hui
zor karta hai ek aalam na-tawano.n par tere
ai sipahr-e-du.n teri zor-azmai kya hui
shaikh-ji aaya na masjid mei.n wo kafir warna hum
puchhte tum se ki ab wo parsai kya hui
roiye is gham-kade mei.n aah kis kis ko ki ya.n
dekhte nazro.n ke apni ek khudai kya hui
ai wafa-begana tha tu bhi to hum se aashna
wo wafa kidhar gai wo aashnai kya hui
go kisi haalat mei.n ho 'qayem' mai.n samjhu.n hu.n tujhe
hai to tu wo hi pa teri kibriyai kya hui
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸