donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* kidhar abru ki us ke dhak nahi.n *

kidhar abru ki us ke dhak nahi.n

kaun is tegh ka halak nahi.n

misl-e-aina aabru hai to dekh

warna ghar mei.n to apne khak nahi.n

de hai ham-chashmi us se phir khurshid

kya bhala us ke munh pe nak nahi.n

chahe.n tauba ki chhanw hum zahid

kya kahe.n dar-bast-e-tak nahi.n

khabar-e-ghaib khatra-e-dil hai

warna ta-arsh apni Dak nahi.n

jis musalle pe chhiDkiye na sharab

apne aai.n mei.n wo pak nahi.n

yu.n to taib hai.n mai se hum bhi pa shaikh

gar pilawe koi to bak nahi.n

ya.n wo malbuus khas nain ju.n gul

jo qaba das jagah se chaak nahi.n

'qayem' us kuche mei.n phire hai magar

abhi kuchh baat Thik-Thak nahi.n


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 123