laeq wafa ke khalq o saza-e-jafa hu.n mai.n
jitne hai.n ya.n so nek hai.n jo kuchh bura hu.n mai.n
ja hai ki ho.n ye log tere pas us jagah
kab qabil-e-inayat-o-mehr-o-wafa hu.n mai.n
mujh ko buta.n ki diid se mat mana kar ki shaikh
kya jaane is libas mei.n kya dekhta hu.n mai.n
aage mere na ghair se go tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta hu.n mai.n
begana jin se mil ke tu pyare hua hai ya.n
un sab mei.n ek baDa to tera aashna hu.n mai.n
puchho ho mujh se tum ki piyega bhi tu sharab
aisa kaha.n ka shaikh hu.n ya parsa hun mai.n
jaur-e-sipahr o duri-e-yara.n o ru-e-ghair
jo kuchh na dekhna tha so ab dekhta hu.n mai.n
aaina o ghubar mei.n ju.n yak-digar hai rabt
jo pur-kadar hai.n un se ziyaada safa hu.n mai.n
'qayem' hayat-o-marg-e-buz-o-gaw mei.n hai.n nafa
is mardumi ke shor pe kis kaam ka hu.n mai.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸