mai.n khuub ahl-e-jaha.n dekhe aur jaha.n dekha
par aashna koi dekha na mehrba.n dekha
hamesha mana tu karta tha bagh se hum ko
kuchh haal ab gul o gulshan ka baghba.n dekha
talab kamal ki koi na kijiyo zinhaar
ki mai.n ye kar ke fuzuli bahut ziya.n dekha
na jaane kaun si saat chaman se bichhDe the
ki aankh bhar ke na phir su-e-gulsitan dekha
sune ko dekhe pa hum kis tarah se den tarjih
khuda to hum ne suna hai tumhei.n buta.n dekha
ba-rang-e-ghuncha bahaar us chaman ki sunte the
pa jun hi aankh khuli mausam-e-khiza.n dekha
na kahte the tujhe 'qayem' ki dil kisi ko na de
maza kuchh is ka bhala tu ne ai miya.n dekha
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸