donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qayem Chandpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hai.n *

na bim-e-gham hai ne shadi ki hum ummid karte hai.n

qalandar hai.n jo pesh aa jae sab kuchh did karte hai.n

kaha.n ka gharra-e-shawwal kaisa ashra zi-hijja

hamei.n hath aae mai jis din hum us din id karte hai.n

mizaj-e-khaas hai ahl-e-ishq ka jalne ke aalam mei.n

jalata hai jo in ko us ki ye taid karte hai.n

irada to na tha apna bhi jaane ka tere ghar se

pa kya kije ki bakht-e-wazhgu.n takid karte hai.n

ye kasa sar tale rakkhe jo mai-khano.n mein sote hai.n

jise chahe.n use ek jam mei.n jamshed karte hai.n

jinhe.n kuchh silsile mei.n ishq ke tahqiq hasil hai

wo kab majnu.n se har gumrah ki taqlid karte hai.n

na jaane kahiye kis qalib mei.n 'qayem' dard-e-dil us se

nahi.n banti zaba.n se dil mei.n jo tamhid karte hai.n


۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸


 

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 131