aatish-e-tab ne ki hai tab shurua
tu bhi kar dida-e-pur-ab shurua
kyu.n na abtar ho aansuo.n se chashm
ki hai laDko.n ne ye kitab shurua
shab mai.n chaha karu.n kuchh us se sawal
bin sune hi kiya jawab shurua
sarfa-e-khushk bhi hai ek hila
karni zahid ko thi sharab shurua
nam sunte hi us ka bas 'qayem'
phir kya tu ne iztirab shurua
*************************