na puchh girya-e-khu.n ka tere hai kya bais
sabab to aur nahi.n kuchh magar tera bais
agarche shaikh hai pina sharab fel-e-shania
pa kya karu.n ki kai din se thi hua bais
do-chand girya ki tabrid se hui tab ishq
ziyaadti ka maraz ki hai yan dawa bais
na jurm us ka hai sabit na kuchh meri taqsir
khuda hi jaane ki ranjish ka kya hua bais
raha mai.n us se girafta ek umr tak lekin
kiya jo khub tammul to kuchh na tha bais
tarah us aab ki jo pairne se ho dirham
hue hai.n mere tashattut ke aashna bais
kabhu khila na dam-e-sard se ye dil 'qayem'
agarche khilne ka ghuncha ke hai saba bais
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸