nahi.n band-e-qaba mei.n tan hamara
hai uryani hi pairahan hamara
rakhe.n apne tain hum kis tarah dost
ho tujh sa shakhs jab dushman hamara
hai.n ye kahida hum gham se ki ju.n shama
hai ek ab jeb aur daman hamara
nazar mei.n kaba kya Thahre ki ya.n dair
raha hai muddato.n maskan hamara
chaman mei.n gar hai tu bulbul to min-baad
hai.n hum aur gosha-e-gulkha.n hamara
hawas se hum kiya tha ishq awwal
wahi aakhir ko Thahra fan hamara
bahaar-e-dagh thi jab dil pe 'qayem'
ajab sarsabz tha gulshan hamara
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸