naseha kar na ise si ke pashema.n mujh ko
kitne hi chaak abhi karne hain gareba.n mujh ko
wahshat-e-dil koi shahro.n mei.n sama sakti hai
kash le jae junu.n su-e-bayaba.n mujh ko
ahl-e-masjid ne jo kafir mujhe samjha to kya
sakin-e-dair to jaane hain musalma.n mujh ko
mai.n sar-e-mu nahi.n jun zulf kisi se shaki
baada-dasti ne kiya meri paresha.n mujh ko
sach kaho kis se hai ye nain khilane ka shauq
bhejte ho jo pae-surma-safaha.n mujh ko
yan talak khush hu.n amarid se ki ai rabb-e-karim
kash de hur ke badle bhi tu ghilman mujh ko
muft tak to koi 'qayem' nahi.n lene ka ye jins
kah falak se kare kuchh aur bhi arza.n mujh ko
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸