nigaho.n se nigahe.n samne hote hi jab laDiya.n
yakayak khul gai.n dono.n taraf se dil ki kuljhaDiya.n
ye ab ki shab-baraat ai yar tujh bin hum pe yu.n guzri
hawai to hamari aah thi aur ashk phul-jhaDiya.n
hamari aah jaise lakht-e-dil se guth ke nikle hai
kahin dekhi hai.n tin is lutf se phulo.n ki bhi chhaDiya.n
mua majnu.n to ek muddat hui par ab tak is gham mei.n
kare.n hai.n nala mil kar ham-digar zanjir ki kaDiya.n
zamin se ye lago nahin gul bhala kis tarah nikle hai.n
jo lakho.n surate.n dilkash nahi.n is khak mei.n gaDiya.n
kabhu TuTa na mizhga.n se meri aansu ka zanjira
na jaane ashk ke qatre the ya moti ki ye laDiya.n
bhare aate hai.n 'qayem' pai-ba-pai is tarah aansu se
kahe tu chashm ko meri ki hai.n ye rahT ki ghaDiya.n
۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸۸