donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qazi Mohammad Akhtar Junagarhi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* abhi shab hai tere khayal ki abhi din hain mere malaal k *
abhi shab hai tere khayal ki abhi din hain mere malaal k
wohi silsile hain faraaq k wohi massaley hain wisaal k

kabhi aye ghazaal e rameedakhoo mere dashtejaan ki bhi sair ker
k dikhaoon zakhm judaayi k'k sunaaon karb malaal k

inhi gardishon main zamaney ki sabhi raiza raiza bikher gaye
mager ik tera shaoor e gham rakha jis ne mujh ko sanbhaal k

chali aik aisi ajab hawa k bicherr k mujh se wo reh gaye
mere humsafer mere humnasheen jo gawah thay mere haal k 

too gaya tha mujh se bicherr k jab usi aik lamhey se humnafas
wohi roz o shab hain abhi talak wohi silsiley mah o saal k

meri aankh main tere khwaab hain mere dil main teri hi yaad hai
hain wohi jawab abhi talak mere lab pe tere sawaal k
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378