donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Qurban Aatash
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Gira hai kat ke parinde ka ang kaghaz per *
Gira hai kat ke parinde ka ang  kaghaz per ,
Jama hua bhi bahut surkh rung kaghaz per,

Woh mere samne khul ker kabhi nahin aaya,
Hamesha hoti rahi apni jung kaghaz per,

Qalam ki nok chubhi kaya hamari ungli mein,
Machal uthi hai laho ki trang kaghaz per,

Ghazal mein dhal na saki lakh main ne koshish ki,
Tarap ke rah gayee meri umang kaghaz per,

Main eik raz ki  soorat tha sab ki nazron mein,
Likha gaya hai mujhe tere sung  kaghaz per,

Meri sada ka taqa za yahi hai ai aatash,
Bana raha hon main andhi surang kaghaz per.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 433