donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rafi Haider Anjum
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Adab ke ufaq par 'Nai subh' le kar * Achute fasaano'n ka ehsaas ban kar *
Adab ke ufaq par 'Nai subh' le kar * Achute fasaano'n ka ehsaas ban kar
Liye dard ka dil me apne talaatum * Kahani ki duniya me aaya hai "Anjum"
Naye fik'r ki ik tarah us ne daali * Fasano'n ke paikar me jaa'n us ne daali
Be-maana se alfaaz unwaa'n bana kar * Dikhaya hai apne qalam ka woh johar
'Agar','Baarish','Shayad nahi'n'bhi likha hai * 'Safar ek shahar ka' bhi us ne kiya hai
Kabhi 'Dayera dayera zindagi' me simat kar * Kabhi 'Us ka khoya hua mai' hi ban kar
Woh taRpaa 'Adhoori kahani ka dard' le kar * Woh roya hai 'Naa mar'd' likh ke bhi jee bhar
'Band kamre ki maut' aur 'Nai sub'h' jis par * Ke naazaa'n hai "Shair" ka afsaana number
Risaalo'n ke safho'n par aur dher saare * Bikhere hai'n takhleeq ke shaah-paare
Ajab shakhsiat us ki jaadu bhari hai * Ke guftaar-o-kirdaar me saahiri hai
Zindagi ke kai goshe,gumnaam the jo * Takhaiyul se funkaar ke,the pare jo
Ujaagar kiya in ko sab zaawiyo'n se * Ubhara hai har ik naqsh ko kawisho'n se
Haqeeqat ki duniya me afsaana pahu'ncha * Kahani ke fun ko woh meraaj bakhsha
Achute hai'n unwaan jo zindagi ke * Kai rukh hai'n posheeda jo zindagi ke
Tajassus ke maidaa'n me ik naam hai yeh * Rafi Haider Anjum ka hi kaam hai yeh.
(Written by Deen Raza Akhtar/ Published in Abjad,issue No.7/8,2012)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 359