donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rafiquzzaman
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kitnaa poshiidaa havaaoN kaa safar rakhaa gayaa *
Kitnaa poshiidaa havaaoN kaa safar rakhaa gayaa,
aane vaale mausamoN se be-Khabar rakhaa gayaa,
aaj bhii phirtaa huuN uskii justujuu meN har taraf,
kaun sii bastii meN aaKhir meraa ghar rakhaa gayaa,
chand mubham Khvaab aaNkhoN meN liye phirtaa huuN,
aur kyaa mere liye zaad safar rakhaa gayaa,
dostoN meN kuch merii pehchaan to baaqii rahe,
is liye mujh meN ajab ajab hunar rakhaa gayaa,
is hathelii par chamaktii ret ke zarre haiN ab,
jis hathelii par kabhii ganj-guhar rakhaa gayaa,
meraa apnaa Khauf hii kyaa kam thaa lekin ai “Rafiq”,
merii apnii zaat meN kis kis kaa Dar rakhaa gayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 307