donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rahat Indori
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Masjido'n ke sahan tak jana bahut dushwar tha, *
Masjido'n ke sahan tak jana bahut dushwar tha,
Der se nikla to mere raaste may dar tha,

Apne hi phailao ke nashe may khoya tha darakht,
Aur har masoom tahni par phalo'n ka bar tha,

Dekhte hi dekhte shaharo'n ki raunaq ban gaya,
Kal yahi chehra tha jo har aine pe bar tha,

Sab ke dukh sukh us ke chehre pe likhe paye gaye,
Aadmi kya tha hamare shahar ka akhabar tha,

Ab mohalle bhar ke darawazo'n pe dastak hai nasib,
Ek zamana tha ke jab mai'n bhi bahut khuddar tha,

Kagazo'n ki sab siyahi barisho'n may dhul gai,
Ham ne jo socha tere bare may sab bekaar tha.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 434