|
* Kitni pi kaise kati raat mujhe hosh nahi, *
Kitni pi kaise kati raat mujhe hosh nahi,
Raat ke saath gai baat mujhe hosh nahi,
Mujh ko ye bhi nahi malum ki jana hai kaha'n,
Thaam le koi mera haath mujhe hosh nahi,
Ansuo'n aur sharabo'n may guzar hai ab to,
Mai'n ne kab dekhi thi barsat mujhe hosh nahi,
Jane kya tuta hai paimana ki dil hai mera,
Bikhre bikhre hai'n khayalat mujhe hosh nahi.
|
|