|
* Ankh pyasi hai koi manzar de, *
Ankh pyasi hai koi manzar de,
Is jazire ko bhi samandar de,
Apna chehra talash karna hai,
Gar nahi aina to patthar de,
Band kaliyo'n ko chahiye shabnam,
In chiragho'n may roshni bhar de,
Pattharo.n ke saro'n se karz utar,
Is sadi ko koi payambar de,
Qahqaho'n may guzar rahi hai hayat,
Ab kisi din udas bhi kar de,
Phir na kahna ke khud kushi hai gunah,
Aaj fursat hai faisla kar de. |
|