donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rahat Indori
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Agar khilaaf hain hone do jaan thodi hai *
Agar khilaaf hain hone do jaan thodi hai
ye sab dhuaan hai koi aasmaan thodi hai

Lagegi aag to aayenge ghar kai zad mein
yahan pe sirf hamara makan thodi hai

Main janta hun ki dushman bhi kam nahi lekin
hamari tarah hatheli par jaan thodi hai

Hamare muhn sejo nikale vahi sadakat hai
hamare muhn mein tumhari zubaan thodi hai

Jo aaj sahib-e-masnad hai kal nahin honge
kirayedaar hain jati makan thodi hai

Sabhi ka khoon hai shamil yahan ki mitti main
kisi ke baap ka hindustaan thodi hai

-- Rahat Indori
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 783