* Purane daanv par har din naye aansoo lagata hai *
Purane daanv par har din naye aansoo lagata hai
Wo ab bhi ek phate rumaal par khushbu lagata hai
Main kali raat ke tezaab se suraj banata hun
Meri chaadar main ye pevand ek jugnu lagata hai
Usey kehdo ki ye unchaaiyan mushkil se milti hain
Wo suraj ke safar main mom ke bazoo lagata hai
Namaz e mustakil pehchan ban jati hai chehron ki
Tilak jis tarah maathe par koi Hindu lagata hai
Yahan lachhman ki rekha hai na sita hai magar phir bhi
Bahut phere hamare ghar ke ek saadhu lagata hai
Andhere aur ujaale main ye samjhota zaroori hai
Nishana hum lagate hai thikana tu lagata hai
Na jaane ye anokha farq usme kis tarah aaya
Wo ab kaalar main phoolon ki jagah bichhu lagata hai |