|
* Ham ko dushman kii nigaaho.n se na dekhaa kiije *
Ham ko dushman kii nigaaho.n se na dekhaa kiije,
pyaar hii pyaar hai.n ham ham pe bharosaa kiije,
chand yaado.n ke sivaa haath na kuchh aayegaa ,
is tarah umr-e-gurezaa.N kaa na piichhaa kiije,
roshnii auro.n ke aa.Ngan me.n gavaaraa na sahii,
kam se kam apane hii ghar me.n to ujaalaa kiije ,
kyaa Khabar kab vo chale aaye.nge milane ke liye
roz palako.n pe na_ii shamae.n jalaayaa kiije.
|
|