donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Raj Sandhu
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Tanhai Main Bhi Tanhai *
Tanhai Main Bhi Tanhai 

Thak Chuka hu is Zamane ke Shor O Gul se,
Bas abh to is Zindgi se bhi  ruswai chahie,
Kehde apni yaad ko ke na kare tang mujhe,
Abh to bass Tanhai main bhi Tanhai Chahie…
	
Laakh karu main dil ke pinjre main qaid ise,
Meri  Soch ke panchi ko to bas rehai chahie,
Jun to zamane main mile bahut tujhse hansi,
Kia karu is dile-nada ko bas ik tu harjai chahie,

Ghroor to usme koot koot ke bhara hua hai,
Mujhe to bas us Ghroor pe mera naam chahie,
Nahi manuga main haar us pathar dil ke samne,
Raj, abh to khataa - e muhabat ka insaaf chahie,

Kehde apni yaad ko ke na kare tang mujhe,
Abh to bass Tanhai main bhi Tanhai Chahie.
………… Raj Sandhu
*****
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 421