|
* Hare sunehri khaak uraane wala main, *
Hare sunehri khaak uraane wala main,
Shafq-shajar tasvir banane wala main.
Khila ke saare rang sametne wali sham,
Shab ki mizha par khwaab sajaane wala main.
Faza ha pahia phool khilane wali subah,
Hawa ke sur mein geet milane wala main.
Bahar bhitar fasal ugaane wala tu,
Tire khazane sada lutane wala main.
Chhaton pe baarish, dur pahari, halki dhoop,
Bhigne wala, pankh sukhane wala main.
Chaar dishaaen jab aapas mein ghul mu jaaen,
Sannate ko dim banane wala main.
Ghane banon mein shankh bajane wala tu,
Tire tarf ghar chhor ke aane wala main.
|
|