* Rang rukhsar ka gulabi hai *
Rang rukhsar ka gulabi hai
ye mohabbat ki kamyabi hai.
Bas siyasat ki baat karte hain,
ap mei ek yahi kharabi hai.
Ishq kijye mgar khayal rahe,
husn k paas dil ki chabi hai.
uski ankhein hi itni dilkash hain
Kaun kahta hai wo sharabi hai.
ham to RAKHSHAN usi pe marte hain ,
jiska chehra zara kitabi hai....
****** |