* Kisi gul ko masal kar kya mila hai *
Kisi gul ko masal kar kya mila hai
Mere dil sey nikal kar kya mila hai
Muhabbat ka sitara kyun ga'nwaya
Batao hath mal kar kya mila hai
Udasi ke makaN men ab makeeN ho
Kaho! ab ghar badal kar kya mila hai
Bichharna tha to kyun ham se mile the
Zara sa sath chal kar kya mila hai
Maza tha ladkhadane men hi RakhshaN
Tumhen aakhir sambhal kar kya mila hai
************* |