* Muhabbat ab baghawat chahti hai *
Muhabbat ab baghawat chahti hai
zamaney sey ijazat chahti hai
usi k paas ham phir laut jayen
na janey kyun ye qismat chahti hai
kahan hoga basera ab hamara
hme'n jab uski nafrat chahti hai
fasana bhool jaye ahle duniya
kahani ab haqiqat chahti hai
wo ab tabee'r bnkar laut aye
mre khawbo'n ki shiddat chahti hai
bhulana bhi zaruri hogya tha
mgar milney ko tabiyat chahti hai
usey deney ko mere paas hai kya?
Wo pagal dil ki daulat chahti hai
basanti mausamo'n ka khel hai ye
zami'n dil ki bhi jannat chahti hai
samaji baat karte karte Rakhshan
tumhen bhi ab siyasat chahti hai
****** |