donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Junoo’n ki wadiyo’n se dil ko lautana bhi mushkil hai *
Junoo’n ki wadiyo’n se dil ko lautana bhi mushkil hai
Tumhei’n khona bhi mushkil hai, tumhie’n pana bhi mushkil hai
Mere tapte sulagte ro zo shab majboor hai’n lekin
Mere khabo’n ke jungal ka jhulas jana bhi mushkil hai
Samjhdari ka mausam le urha tiflo’n ki raanayia’n
Khilauna de ke ab bachche ko bahlana bhi mushkil hai
Nigahe dil me’n hangamo’n ke aasebi janzeere’n hai’n
Magar chehre ke sannate ko jhutlana bhi mushkil hai
Bahut mushkil hai waapas le ke aana khushiyo’n ka suraj
Udasi ke kohre ko bikhrana bhi mushkil hai
Haqeeqat aashna logo ne bhi jhuthi gawahi di
“Kanwal” sachchayee ko aayeena dikhlana bhi mushkil hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 315