* Meri sadao’n ka suraj bujha-bujha sa tha *
Meri sadao’n ka suraj bujha-bujha sa tha
Na jane Haampte lamho’n ka kya takaza tha
Nazar mei’n khauf ka Manzar samet laya hu’n
Ye aur baat ki har shakhsh hi shanasa tha
Ajeeb shart thi danga karane walo’n ki
Nagar mei’n rishto’n ka chehra urha-urha sa tha
har ek lamha badalta raha mera chehra
Na jane waqt ka aayeena chahta kya tha
Zamee’n payasi thi, aangan ke perh payase the
“Kanwal” ke honto’n pe sawan ka naam aata tha
|