donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ubhre ga Kabhi jo hai abhi doobta chehra *
Ubhre ga Kabhi jo hai abhi doobta chehra
Kankar na ise maro ki hai phool sa chehra

Tanvir mili harfe-siyah se bhi jaha’n ko 
kora tha jo kaghaz wo hai ab ved ka chehra

Kuch dhul bhi darpan pe hai lamho’n ke safar ki
kuch gham ki tapish se bhi hua sanwla chehra

Mai’n perh hu’n, dam lete hai’n sab chhaoo’n me meri
Jhulse hai’n magar dhoop mei’n tanha mera chehra

Ehsas ke aangan me’n koi phool khila hai
aata hai bahut yaad “Kanwal” yaar ka chehra
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 377