donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sunahri yaado’n ke jangal me’n khogayee hogi *
Sunahri yaado’n ke jangal me’n khogayee hogi
Woh gujre lamho’n ki chaukhat pe so gayee hogi
Mai’n apni zid ke dareeche se jha’nkta hi raha
Ana ke morh se wapas woh hogayee hogi
Daraz baaho’n ke pinjre me’n tarhpharahti huyee
Woh dewdasi dopatta bhigo gayee hogi
Yeh soch kar ke ik asparsh me’n mita dega
Woh ik moj kinara dobo gayee hogi
Mujhe bhi neela samundar nigal raha hai “Kanwal”
Woh chandni bhi jazeero’n me’n kho gayee hogi
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 351