donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ramesh Kanwal
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ummeedo’n ki basti saji tum na aaye *
Ummeedo’n ki basti saji tum na aaye
Nigahei’n rahie’n dhoodti tum na aaye
Liye saghro meena baithe rahe ham
Ghatao’n me’n thi barhami tum na aaye
Jawa’n husn walo’n ke mele lage the 
Tumhari hi thee bas kami, tum na aaye
Juda kar na paati kabhi hamko duniya
Magar haa’n tumhari khushi, tum na aaye
Tum aaoge ik din liye saaze ishrat
Yeh mauhoom ummeed thee  tum na aaye
Har ik gaam par ha’ns rahe the ujale
Mere dil me thi teergi tum na aaye
Wafa se “Kanwal” ek zamana tha barham
Magar aah keya baat thee tum na aaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 378