* Nazar se door rahe mujhko aazmaye bhii *
Nazar se door rahe mujhko aazmaye bhii
agar woh waqt nahii hai to laut aaye bhii
hai aabshar to ehsas ko kare sairab
woh pyas hai to meri tashnagii badhaye bhii
woh mauj hai to mujhe gharq bhii zaroor kare
hai naa khoda to bhanwar se nikaal laye bhii
woh khawb hai to kare bas qayam aankho'n mei'n
agar hai khauf to neendei'n meri udhaye bhii
woh mas'ala hai to meri jabee'n pe raushan ho
woh koii hal hai to dil ko qarar aaye bhii
mizaj mei'n hai tawazun to rooh banke rahe
ana parsat hai to fasla badhaye bhii
nazar shanas na ho to mujhe bhii tarhpaye
woh dilnawaz agar hai to maan jaye bhii
agar woh aur koii hai to koii baat nahii
hai zindagi to andhero'n mei'n gun gunaye bhii
|