donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rashid Anwar Rashid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ret me'n sabza ugana hi mera dastoor hai *
Ret me'n sabza ugana hi mera dastoor hai
Kuchh bhi ab ho jaye, tera zayeqa manzoor hai

Haath aajaye to jaise har elaqa saltanat
Haath na aaye to yeh samjho ke dilli door hai

Lamha lamha barh rahi hai be yaqini ki giraft
In dino'n taqdir jaane kis nashe me'n choor hai

Tere afsane me'n bhi ab morh aahi jayega
Meri barbadi ka qissa har jagah mashhoor hai

Ab ghalat fahmi ki khaii aur gahari ho gayee
Tum ana orhe raho, naachiiz bhi majboor hai

Waqeya yeh hai akela pan mujhe raas aagaya
Yar logo'n ne kaha "Rashid" bahut maghroor hai

		Urdu Deptt. Karim City College, 
		Jamshedpur (Jharkhand)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 334