donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rashid Taraz
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Khamosh rah gaye guftaar tak nahii pahunche *
Khamosh rah gaye guftaar tak nahii pahunche
hamare zakhm bhii izhaar tak nahii pahunche

gila nahii hai, khamoshi ka in haroof ka hai
sukhan mei'n dhal ke jo meeyaar tak nahii pahunche

tamam khemo'n mei'n jalte rahe sukhan ke chiraagh
ghariib khanae beemaar tak nahii pahunche

nafii kii khak se, apna hasool kya paate
woh log jo, kisi iqraar tak nahii pahunche

ham ahle khawb the apni hado'n mei'n jeete rahe
janoone zaar ke israar tak nahii pahunche

pukarta raha koii khudi ki manzil se
ham apne taabae bedar tak nahii pahunche

'Taraz' kaise sokhan the jo imtehaa'n keliye
talasme shab ke, giriftaar tak nahii pahu'nche
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 331