donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Rasool Saqi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ghar se nikal ke aaye hain bazar ke liye *
Ghar se nikal ke aaye hain bazar ke liye,
Yeh bheerh bharh achchi hai bekar ke liye,

Hum yaar ke liye hain na deedar ke liye,
Tears pe aake bathein hain akhbar ke liye,

Diljoyee ker raha hai bahut dair se tabbeb
Kaya akhri dawa hai yeh bimar ke liye,

Main ne to us dayar mein sab kuchh luta diya,
Dunia safar pe jati hai ghar bar ke liye,

Mere dile tabah mein itni jagah kahan,
Us ne jagah nikali hai deewar ke liye,

Ai mah rau ummeed ki koi kiran to ho,
Hum jaise teergi ke giraftar ke liye,

Usne to mana jurm ka eqrar ker liya,
Lakin mujhe saza mili inkar ke liye,

Aisa nahin ki shaher mein aasaniyan nahin,
Lakin woh sab hain lamhae dhushwar ke liye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389